apni yakjai mein bhi khud se juda rahta hun ghar mein bikhri hui chizon ki tarah rahta hun subh ki sair ki karta hun tamanna shab bhar din nikalta hai to bistar mein pada rahta hun din o duniya se nahin hai koi jhagda mera yani main in se alag apni jagah rahta hun khwahish-e-dad nahin aur koi fariyaad nahin ek sahra hai jahan naghma-sara rahta hun