ye tan ghira hua chhote se ghar mein rahta hai par apna man ki jo har dam safar mein rahta hai dhanak ki tarah nikharta hai shab ko khwabon mein wahi jo din ko meri chashm-e-tar mein rahta hai visal us ko likhun main ki hijr ka aaghaz jo ek lamha musalsal nazar mein rahta hai chalo wo hum nahin koi to hai zarur ki jo sukun se saya-e-diwar-o-dar mein rahta hai hai tang jis pe bahut wusat-e-zaban-o-bayan wo harf ek nigah-e-mukhtasar mein rahta hai