apni zad par the khade hum ko to bachna kya tha jo hua thik hua aur to hona kya tha marte marte hi mere dard ki lazzat ke haris be-mudawa jo na marte to mudawa kya tha uf wo atraf mein phaili hui ashiya ka hujum hae is shor mein ek dil ka dhdakna kya tha be-dili hae nazara ki mujhe yaad nahin sarsari dekha tha kya aur na dekha kya tha raat us bazm mein taswir ke manind the hum hum se puchhe to koi shama ka jalna kya tha