chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-dari de

chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-dari de
dil-e-awara ko paigham-e-giraftari de

ishq hai sada-o-masum use apni tarah
jauhar-e-tegh-e-ada khanjar-e-ayyari de

jo dukhe dil hain unhen daulat-e-darman ho ata
dard ke hath mein mat kasa-e-nadari de

kitni farsuda hai ye jurm-o-saza ki duniya
sar-kashi dil ko naya zauq-e-gunahgari de

shakh-e-gul kab se hai sine mein chhupae hue gul
dekhen kab baad-e-saba hukm-e-chaman-kari de

ai mere shoala-e-dil shoala-e-sher-o-danish
raat aakhir hai use jashn-e-sharar-bari de

chaman afsurda hai ai jaan-e-chaman ruh-e-bahaar
gul ko bhi apne tabassum ki fusun-kari de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close