apnon ka ye aalam kya kahiye milte hain to beganon ki tarah is daur mein dil be-qimat hain tute hue paimanon ki tarah parwane to jal bujhte hain magar dil hain ki sulagte rahte hain aasan to nahin jite rahna hum aise giran-jaanon ki tarah ya shama ki lo hi maddham hai ya sard hai dil ki aag abhi socha tha ki ud kar pahunchenge us bazm mein parwanon ki tarah tinkon ke safine le le kar kya kya na muqabil aai khirad hum ahl-e-junun raqsan hi rahe biphre hue tufanon ki tarah ya kaun-o-makan mein khwar hue ya kaun-o-makan ki khair nahin jina hai to insanon ki tarah marna hai to insanon ki tarah