jo mujhko dikhaya gaya tarik ziyaada

jo mujh ko dikhaya gaya tarik ziyaada
rahta hun usi khwab ke nazdik ziyaada

ye pahunche hue log bahut pahunche hain shayad
lete hain ye auron se zara bhik ziyaada

ai chashm-e-ghariban yun pareshan na hua kar
tu pahle hi rahti nahin kuchh thik ziyaada

main khwab mein bhi khwab na dekhunga kisi ke
is kar-e-aziyyat mein hai tazhik ziyaada

maghrib-zada sochon ki tijarat mein pade log
barik ko karne lage barik ziyaada

mai-khanon ki raunaq ye batati hai 'mubasshir'
chalti nahin diwanon ki tahrik ziyaada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close