apnon ke karam se ya qaza se mar jaen to aap ki bala se girti rahi roz roz shabnam marte rahe roz roz pyase ai rah-zadagan kahin to pahunche munh mod gae jo rahnuma se phir nind uda ke ja rahe hain taron ke ye qafile nida se mud mud ke wo dekhna kisi ka nazron mein wo dur ke dilase palkon ki zara zara si larzish paigham tere zara zara se data hain sabhi nazar ke aage kya mangen chhupe hue khuda se kya hath uthaiye dua ko hum hath utha chuke dua se