dil mein tisen jag uthti hain pahlu badalte waqt bahut apna zamana yaad aata hai suraj dhalte waqt bahut wo parcham wo sar ke turre aur wo safine apne the jin ko dekh ke shoale bhi roe the jalte waqt bahut un shishon ke rezon ka marham hai apne zakhmon par lamha lamha jo tute talwaren chalte waqt bahut pal bhar mein pani hote dekhe hain sanam kirdaron ke hum kaise kah den lagta hai sang pighalte waqt bahut sune kitne baam hue kitne aangan be-nur hue chand se chehre yaad aate hain chand nikalte waqt bahut ab har ghar ki chaukhat hum par hansti hai to raaz khula phut phut kar roi thin kyun dahlizen chalte waqt bahut do naslon ki kashti thi wo pichhle dinon jo dub gai bhige jismon walo lagega tum ko sambhalte waqt bahut