apnon ne ujaDa hai chaman jaan gae hain

apnon ne ujada hai chaman jaan gae hain
pardon mein chhupa kaun hai pahchan gae hain

tapti hui sadkon pe safar hum ne kiya hai
ab barf jo dekhi hai to ausan gae hain

wishwas kei girti hui diwar ke sae
qadmon se kuchalte hue iman gae hain

mana ki diya us ne hamein rutba-e-ali
jannat se nikale bhi to insan gae hain

ghar apna samajh kar jo rahe farsh-e-zamin par
rote hue duniya se wo mehman gae hain

jo phul kei khushbu ko chhupane mein lage the
nakaam mohabbat mein wo insan gae hain

un se to na thi koi hamein bughz-o-adawat
be-kar si baaton ko bura man gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close