aap aur aap ka asar donon

aap aur aap ka asar donon
kar gae hum ko dar-ba-dar donon

donon tanhaiyon ke mare the
is liye bhi hain ham-safar donon

ek bistar hai beach mein takiya
kaise soenge raat bhar donon

baat badhne ki ye wajah bhi thi
baat karte the mukhtasar donon

aap aae bhi aur chale bhi gae
jhuth lagti hain ye khabar donon

ishq se log be-khabar rahte
sath marte nahin agar donon

ek bachchi gharib aur an-padh
is pari ke nahin hain par donon

do guni kar rahe the khushiyon ko
ek duje ko bant kar donon

kaise munh ko phulae baithe hain
ek-duje ki baat par donon

band karte hi aankh aane lage
ek-duje ko ab nazar donon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close