apnon ne wo ranj diye hain begane yaad aate hain dekh ke us basti ki haalat virane yaad aate hain us nagri mein qadam qadam pe sar ko jhukana padta hai us nagri mein qadam qadam par but-khane yaad aate hain aankhen pur-nam ho jati hain ghurbat ke sahraon mein jab us rim-jhim ki wadi ke afsane yaad aate hain aise aise dard mile hain nae dayaron mein hum ko bichhde hue kuchh log purane yarane yaad aate hain jin ke karan aaj hamare haal pe duniya hasti hai kitne zalim chehre jaane pahchane yaad aate hain yun na luti thi galiyon daulat apne ashkon ki rote hain to hum ko apne gham-khane yaad aate hain koi to parcham le kar nikle apne gareban ka 'jalib' chaaron jaanib sannata hai diwane yaad aate hain