kai jalwe teri pahchan ke dhoke se nikle hain siyasat sainkadon chehre tere chehre se nikle hain hamare daur ke bachche sabaq padhte hain chahat ka kitabon ke bajae dil har ek baste se nikle hain har ek bhai ki khwahish hai ki batwara ho ab ghar ka abhi hum mulk ki taqsim ke sadme se nikle hain idhar dekho yahan man hai udhar hai bap bachchon ka zamane bhar ke sab rishte isi rishte se nikle hain rasan tak koi jata hai koi maqtal talak 'hafiz' jo raste husn walon ke hasin kuche se nikle hain