aqab mein darmiyan aur samne wali nashiston par jahan dekha wahan the aap hi sari nashiston par wo jab stage par aaya to pichhe baithne wale chale aae qataren tod kar agli nashiston par khabar hi na mili un ko tamasha khatm hone ki tamashai jhagadte rah gae khali nashiston par gale mein dil uchhal kar aa gaya sab ahl-e-mahfil ka jab us ne be-niyazi se nazar dali nashiston par unhen har hukm sun kar shah ki taid karni thi riyazat kat kar pahunche jo darbari nashiston par yahan par har kisi ko hukmaran hone ki khwahish hai nazar hizb-e-mukhalif ki hai sarkari nashiston par jo dekhi zist ke stage par apni adakari main roya bari bari baith kar khali nashiston par 'hasan' hum ko bhi apni shairi par dad mil jati hamare dost ja kar so gae pichhli nashiston par