hum apne zakhm sabhi ko dikha nahin sakte jo shikwa tum se hai sab ko suna nahin sakte mere khayal ki gahrai ko zara samjho ki sirf lafz to matlab bata nahin sakte malal ye hai ki saqi to ban gae sahab sharab hath mein hai aur pila nahin sakte ajab hai phul ki fitrat use masal kar tum mahakte hathon ki khushbu chhupa nahin sakte likha gaya jo muqaddar mein harf-e-akhir hai tum apni marzi se is ko mita nahin sakte hazaron hile bahane tarash lo phir bhi tum apne chehre ki khiffat chhupa nahin sakte ab ek hum hain ki sadiyan guzar den 'adil' aur ek wo hain ki lamha bata nahin sakte