aqaed wahm hain mazhab khayal-e-kham hai saqi azal se zehn-e-insan basta-e-auham hai saqi haqiqat-ashnai asl mein gum-karda rahi hai urus-e-agahi parwurda-e-ibham hai saqi mubarak ho zaifi ko khirad ki falsafa-rani jawani be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saqi hawas hogi asir-e-halqa-e-nek-o-bad-e-alam mohabbat mawara-e-fikr-e-nang-o-nam hai saqi abhi tak raste ke pech-o-kham se dil dhadakta hai mera zauq-e-talab shayad abhi tak kham hai saqi wahan bheja gaya hun chaak karne parda-e-shab ko jahan har subh ke daman pe aks-e-sham hai saqi mere saghar mein mai hai aur tere hathon mein barbat hai watan ki sar-zamin mein bhuk se kohram hai saqi zamana barsar-e-paikar hai pur-haul shoalon se tere lab par abhi tak naghma-e-khayyam hai saqi