sar-phire karne lage hain jazb soz-e-dil ki baat ab khuda rakkhe to rakkhe aap ki mahfil ki baat qafile walo ab aao aur aage badh chalen kha chuke rahbar ka dhoka jaan li manzil ki baat kitni nafrat ho rahi hai surat-e-sahil se ab kitni hasrat se kiya karte the hum sahil ki baat ho ke barham uthne wale hain wo sare tishna-lab aai hai hisse mein jin ke saqi-e-mahfil ki baat khud hi ab raushan karenge apne gham-khane ko hum dekh li taro tumhaari sai-e-la-hasil ki baat sare ammal-e-hukumat mujh se bad-zan ho gae kar raha tha ek din main bismil-o-qatil ki baat soch ai 'nazish' na ho ye bhi farari zehniyat kar raha hai ahd-e-hazir mein jo mustaqbil ki baat