aqide bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hoti jati hai magar zauq-e-junun ki shoala-samani nahin jati khuda malum kis kis ke lahu ki lala-kari hai zamin-e-ku-e-jaanan aaj pahchani nahin jati agar yun hai to kyun hai yun nahin to kyun nahin aakhir yaqin mohkam hai lekin zid ki hairani nahin jati lahu jitna tha sara sarf-e-maqtal ho gaya lekin shahidan-e-wafa ke rukh ki tabani nahin jati pareshan-rozgar aashufta-haalan ka muqaddar hai ki us zulf-e-pareshan ki pareshani nahin jati har ek shai aur mahngi aur mahngi hoti jati hai bas ek khun-e-bashar hai jis ki arzani nahin jati ye naghma naghma-e-bedari-e-jamhur-e-alam hai wo shamshir-e-nawa jis ki darakhshani nahin jati nae khwabon ke dil mein shoala-e-khurshid-e-mahshar hai zamir-e-hazrat-e-insan ki sultani nahin jati lagate hain labon par mohr arbab-e-zaban-bandi ali-'sardar' ki shan-e-ghazal-khwani nahin jati