aql go aastan se dur nahin us ki taqdir mein huzur nahin dil-e-bina bhi kar khuda se talab aankh ka nur dil ka nur nahin ilm mein bhi surur hai lekin ye wo jannat hai jis mein hur nahin kya ghazab hai ki is zamane mein ek bhi sahib-e-surur nahin ek junun hai ki ba-shuur bhi hai ek junun hai ki ba-shuur nahin na-suburi hai zindagi dil ki aah wo dil ki na-subur nahin be-huzuri hai teri maut ka raaz zinda ho tu to be-huzur nahin har guhar ne sadaf ko tod diya tu hi aamada-e-zuhur nahin arini main bhi kah raha hun magar ye hadis-e-kalim-o-tur nahin