chaman chaman kahin aansu ghuta ghuta kahin aah bana raha hai nai kaenat ishq-e-tabah na hosh ba-khabar is se na be-khudi aagah main kis se puchhun tere shahr-e-iltifat ki rah bas ek maut ki had tak pahunch saki hai nigah kahan mili abhi dariya-e-sanehat ki thah bahaar-e-mashriq-e-dil inqalab-e-mausam-e-gham kisi ka ek tabassum kisi ki ek nigah ye aarzu ke sitare ye intizar ke phul chamak rahi hain khataen mahak rahe hain gunah