aql jis pahlu se chahe zist samjhae ise

aql jis pahlu se chahe zist samjhae ise
dil ka ye aalam ki har lamhe se khauf aae ise

dasht ka rahi bhatak kar aa gaya hai shahar mein
qais koi ho to apne sath le jae ise

sar-ba-zanu yaad ka zindani hai baitha hua
koi mithi yaad aae aa ke sahlae ise

ye hi sab ko dars deta hai qarar-o-sabr ka
ye hi bekal ho uthe to kaun samjhae ise

bulbul-e-muztar ki qismat jag jae ek din
chhu ke gul baad-e-saba chhu kar guzar jae ise

ajnabi ek shahar mein hai ajnabi logon ke bich
kaun pahchane ise aur le ke ghar jae ise

tum ko gar bimar ki hai fikr kuchh aisa karo
ye badi taklif mein hai nind aa jae ise

ai junun ab dil ka koi aur maskan dhund lo
hai pari-chehra koi jo aa ke le jae ise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close