har gham pe aaj-kal hai khushi ka guman mujhe le aai yaad-e-yar kahan se kahan mujhe manzur zauq-e-did ka ho imtihan mujhe ye tab ye majal ye taqat kahan mujhe yarab qafas ki khair ki dekha jo khwab bhi aaya hai bijliyon mein nazar aashiyan mujhe aazadi-e-khayal ke wo rang ab kahan tha ibtida mein kunj-e-qafas aashiyan mujhe zauq-e-talab ka raaz yahi zindagi yahi har karwan hai gard-e-pas-e-karwan mujhe main jaan-e-rang-o-bu hun main aaraish-e-chaman tu kya samajh raha hai mere baghban mujhe tewar nigah-e-naz ke kuchh din yahi jo hain yara-e-zabt-e-raaz 'jamali' kahan mujhe