aql ke dushman bhi hum thahre dil ka bhi nuqsan kiya zauq-e-talab ki aad mein 'hairat' nafs ne kya hairan kiya khalq kiya hoga aadam ko waqai hazrat-e-yazdan ne lekin us ka nam batao jis ne use insan kiya ram the maryaada purushottam ram ki baaten rahne do aur batao is duniya mein kis ne kis ka man kiya hum kuchh bhi to nahin the lekin aapa yar buri shai hai pahron apni yaad mein roe jab bhi tera dhyan kiya ab ye takalluf bhi duniya mein log kahan farmate hain tu ne puchha haal hamara yar bada ehsan kiya dil to isi khatir hota hai kya ye tumhein malum na tha 'hairat' kyon barbaadi-e-dil par ji itna halkan kiya