chhoD de karb-e-ana mauja-e-pur-KHam banna

chhod de karb-e-ana mauja-e-pur-kham banna
zindagi sikh gai gesu-e-barham banna

kya koi aur tasarruf na tha us ka mumkin
kaisi mitti ke muqaddar mein tha aadam banna

han khamir ek hi darkar hai donon ke liye
chashm-e-jaanan ho ki paimana-e-zamzam banna

muddai marham-e-har-zakhm ke hone wale
aa gaya ras tujhe kya gham-e-alam banna

har sanwarti hui taqdir hai mathe pe shikan
har ubharti hui taswir ko mubham banna

aur bhi dahke raho dahke raho dahke raho
aa hi jaega kabhi phul pe shabnam banna

kyon mujhe yaad dilata hai azal ke din ki
meri surat ka tere zehn mein kam-kam banna

har tabassum raha marhun-e-fughan ka 'hairat'
har masarrat ko pada bar-gah-e-gham banna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close