aql-o-danish mein kisi se nahin kamtar hum log waqt waqif hai ki hain kitne qad-awar hum log kaise dar jaenge dhamki se teri ai nadan kya tu waqif nahin hain kitne dilawar hum log hum musalman hain aur padhte hain haq ka kalima sari duniya ke taqabul mein hain bartar hum log garche muflis hain magar daulat-e-din rakhte hain dekh kar hum ko na samjhen ki hain kamtar hum log samne lashkar-e-baatil tha hazaron ka magar dat gae haq ke liye bas the bahattar hum log mashwara baunon ko ye hai ki sada had mein rahen aur bhulen na ki hain kitne qad-awar hum log sazishen hum ko dubone ki rachata hai adu ai 'zaki' kah do ki hain khub shanawar hum log