dhund raha hai farang aish-e-jahan ka dawam wa-e-tamanna-e-kham wa-e-tamanna-e-kham pir-e-haram ne kaha sun ke meri ruedad pukhta hai teri fughan ab na ise dil mein tham tha areni go kalim main areni go nahin us ko taqaza rawa mujh pe taqaza haram garche hai ifsha-e-raaz ahl-e-nazar ki fughan ho nahin sakta kabhi shewa-e-rindana aam halqa-e-sufi mein zikr be-nam o be-soz-o-saz main bhi raha tishna-kaam tu bhi raha tishna-kaam ishq teri intiha ishq meri intiha tu bhi abhi na-tamam main bhi abhi na-tamam aah ki khoya gaya tujh se faqiri ka raaz warna hai mal-e-faqir saltanat-e-rum-o-sham