aql-o-dil ko mila-jula rakhiye zabte mein bhi rabta rakhiye dusra shahr dusre sathi dil bhi sine mein dusra rakhiye band kar lije dar sab aankhon ke zehn apna magar khula rakhiye itne patthar na phenkiye sahab wapsi ka to rasta rakhiye kuchh bhi jine ki aarzu hai agar jaan dene ka hausla rakhiye din sada ek se nahin rahte raat aaegi kuchh bacha rakhiye jo hamare hue na apne 'yaad' aise logon ko yaad kya rakhiye