tark-e-ulfat ka irada bhi nahin un se izhaar tamanna bhi nahin waqt katta hi na tha jis ke baghair us ko muddat hui dekha bhi nahin jaisi guzri hai ghanimat hai magar zindagi tera bharosa bhi nahin dil mein rakhta hai bahut kuchh lekin baat kahne ki wo kahta bhi nahin khub saj-dhaj hai tumhaari phir bhi dekhna kaisa wo takta bhi nahin ghur kar dekhta rahta hai mujhe main ne us ko kabhi dekha bhi nahin baaten karta hai musalsal 'kausar' roz milta hai shanasa bhi nahin