aql pahunchi jo riwayat ke kashane tak ek hi rasm mili kaba se but-khane tak wadi-e-shab mein ujalon ka guzar ho kaise dil jalae raho paigham-e-sahar aane tak ye bhi dekha hai ki saqi se mila jam magar hont tarse hue pahunche nahin paimane tak regzaron mein kahin phul khila karte hain raushni kho gai aa kar mere virane tak ham-nashin kat hi gaya daur-e-khizan bhi aakhir zikr phulon ka raha fasl-e-bahaar aane tak sari uljhan hai sukun ke liye ai shauq thahar gham ka tufan-e-bala-khez guzar jaane tak zehn mayus-e-karam shauq-e-nazara sarshaar hosh mein kaise rahun un ka payam aane tak zakhm yaadon ke mahakte hain ki aai hai bahaar hai ye daulat gham-e-dauran ki khizan aane tak be-niyazi hai taghaful hai ki be-zari hai baat itni to samajh lete hain diwane tak zindagi gham se ulajhti hi rahegi hamdam waqt ki zulf girah-gir sulajh jaane tak manzil-e-rah talab thi to kahin aur magar ruk gae khud hi qadam pahunche jo mai-khane tak