aql se hasil hui kya kya pashimani mujhe ishq jab dene laga talim-e-nadani mujhe ranj degi bagh-e-rizwan ki tan-asani mujhe yaad aaega tera lutf-e-sitam-rani mujhe meri jaanib hai mukhatib khas kar wo chashm-e-naz ab to karni hi padegi dil ki qurbani mujhe dekh le ab kahin aa kar jo wo ghaflat-shiar kis qadar ho jae mar jaane mein aasani mujhe be-naqab aane ko hain maqtal mein wo be-shak magar dekhne kahe ko degi meri hairani mujhe sainkadon aazadiyan is qaid par 'hasrat' nisar jis ke bais kahte hain sab un ka zindani mujhe