aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke aazmaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke dil ne chhoda hai na chhode tere milne ka khayal bar-ha dekh liya hum ne malamat kar ke dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salah baith rahiye gham-e-hijran pe qanaat kar ke dil ne paya hai mohabbat ka ye aali rutba aap ke dard-e-dawa-kar ki khidmat kar ke ruh ne pai hai taklif-e-judai se najat aap ki yaad ko sarmaya-e-rahat kar ke chhed se ab wo ye kahte hain ki sambhlo 'hasrat' sabr o tab-e-dil-e-bimar ko ghaarat kar ke