arbab-e-gulistan ka chalan dekh raha hun kaliyon ki jabinon pe shikan dekh raha hun nazron mein simatti chali aati hain bahaaren ek shokh ki ranai-e-tan dekh raha hun har phul tere husn ka aaina bana hai jalwe tere ai jaan-e-chaman dekh raha hun haalat ki gardish bhi nazar mein hai magar aah! majbur nigahon mein thakan dekh raha hun phir shauq-e-shahadat mein badhe aate hain jaan-baz ek hashr sar-e-dar-o-rasan dekh raha hun ye wadi-e-gul-posh hasinon ke ye jhurmut har samt sitaron ke chaman dekh raha hun ai 'naqsh' nazar mein hain nae daur ke andaz mitte hue aasar-e-kuhan dekh raha hun