gham nahin mujh ko jo waqt-e-imtihan mara gaya khush hun tere hath se ai jaan-e-jaan mara gaya tegh-e-abru se dil-e-ashiq ko milti kya panah jo chadha munh par ajal ke be-guman mara gaya manzil-e-mashuq tak pahuncha salamat kab koi rahzanon se karwan ka karwan mara gaya dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho main tumhaari dosti mein mehrban mara gaya zahr se kuchh kam na thi dawat meri ghairon ke sath kya ghazab hai ghar bala kar mehman mara gaya dasht-e-ghurbat ranj-e-tanhai hujum-e-dard-o-yas in balaon mein tera aashiq kahan mara gaya kya halak-e-ishq tere gesuon ka tha 'asar' sumbulistan ho gaya hai do-jahan mara gaya