arbab-e-iqtidar se mera sawal hai ye daur-e-irtiqa hai ki daur-e-zawal hai jab jab lage hai aag hamare hi ghar jalen ye baat ittifaq hai ya gahri chaal kaisi munafiqon ki hai sazish na puchhiye tute na jo wo reshmi dhagon ka jal hai aise mein khwab aankhon mein koi sajae kya wo habs hai ki chain se sona muhaal hai hum to azab-e-tishna-labi se hain nim-jaan guzri hai jaane kya ki samundar nidhaal hai haalat-o-kaifiyat ki taswir khinchna 'nusrat' nahin tera ye sukhan ka kamal hai