jaise bhi ye duniya hai jo kuchh bhi zamana hai sab teri kahani hai sab mera fasana hai ek barq-e-siyah-masti ek shoala-e-mad-hoshi mina se girana hai saghar se uthana hai tum tak na pahunch jae lau sham-e-mohabbat ki jab tur ko phunka tha ab dil ko jalana hai mahdud-e-zaban kab tak afsana mohabbat ka aankhon se bhi kahna hai dil se bhi sunana hai allah re tanzim hairat-kada-e-hasti dekho to haqiqat hai samjho to fasana hai aahen bhi nahin ruktin nale bhi nahin thamte aur un ko mohabbat ka afsana sunana hai wo husn-e-mujassam hain hum ishq-e-mukammal hain un ka bhi zamana hai apna bhi zamana hai jalwe kahin chhupte hain nazren kahin rukti hain parda na uthana bhi parda hi uthana hai bulbul ki mohabbat se wo raaz rahe kab tak kaliyon ki zaban par jo mubham sa fasana hai tadbir bhi ye kah kar rukhsat hui furqat mein taqdir ki duniya hai qismat ka zamana hai kuchh dard ke pahlu hain kuchh yas ki baaten hain afsana mera kya hai rona hai rulana hai nakaam mohabbat ki allah re majburi jine ki nahin fursat marne ko zamana hai kya qahr hai ai 'basit' ye tab-e-haya-parwar un ki hi mohabbat hai un se hi chhupana hai