are tauba uzr-e-jafa karun kabhi zarf aisa mera nahin wo mita den chahe abhi mujhe koi shikwa gila nahin tu utha de parda to dekh lun kise hosh hai tujhe dekh kar abhi har nigah hai muddai koi parda jabki utha nahin main samajh gaya jo hai kaba mein mujhe ittifaq hai dair se main fareb-e-jalwa na khaunga koi aur tere siwa nahin mujhe zauq-e-uzr-e-sitam sahi magar us ka itna malal kyon jo gila bhi hai wo hai aap se kisi ghair se to gila nahin wo buri kate meri zindagi mujhe fikr us ki nahin 'shafia' wo bigad ke mera karenge kya koi but ye mere khuda nahin