butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai

butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai
hasin surat koi ho qabil-e-tahsin hoti hai

zamin-e-sher jab us ko ata rangin hoti hai
tabiat shaer-e-fitrat ki kyon ghamgin hoti hai

tabiat muztarib bechain aur ghamgin hoti hai
magar ifa-e-wada par hi kuchh taskin hoti hai

hamesha khun hi hota raha jazbaat-e-ulfat ka
rifaqat husn walon ki badi sangin hoti hai

ye mana mausam-e-gul hai magar daman na phad apna
are diwane is mein ishq ki tauhin hoti hai

jagah den lakh aankhon mein 'shafia' mai-khwar-e-mai-khana
magar phir bhi janab-e-shaikh ki tauhin hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close