ari zindagi gila ab nahin jo hua tha sab wo baja hua mere pyar ka tha jo karwan wo ruka jahan tha luta hua meri aarzu thi ki khushnuma ho shagufta gulistan har kuja to wafa ki rasmen nibah ke mila sahra mujh ko saja hua meri jaan pe jo guzar gai wo khuda ki nek ata hui mere aansoon ki nami se dhul ke ye gulistan bhi hara hua rahe raste bade jaan-sitan hua pur-khatar yun mera safar ye bhi hausla tha jafa ka jo bhi mila mujhe wo juda hua mere mathe ki to shikan pe ek baqa be-rahm tha likha hua likha hath ki jo lakir pe tha wo jab mila to juda hua are dosto mera dil 'saba' jo nikal kar kabhi dekhna ye jo tir hai meri zindagi ka yun kab se mujh mein chubha hua