khil uthe hain zakhm phulon ki tarah koi aaya hai bahaaron ki tarah hasraton ki bad-nasibi dekhiye bujh gain sari charaghon ki tarah khwab ki bhi siskiyan sun lijiye tut ke bikhre hain shishon ki tarah sarsari si ek nazar un ki padi aaj hum bhi hain hazaron ki tarah lutf jaane ka jahan se badh ke ho yaad gar aaun misalon ki tarah ab 'saba' kab tak karegi intizar us ka aana hai hawaon ki tarah