arman nikal jaen arman-bhare dil ke

arman nikal jaen arman-bhare dil ke
hasil hon maze phir se saqi teri mahfil ke

manjdhaar mein jakar bhi hum dub nahin sakte
tufan mein khush honge mare hue sahil ke

wo naza ke waqt aae lab hil na sake apne
afsos rahe dil mein arman the jo dil ke

ghairon ko bhare saghar hum qatre ko bhi tarsen
andaz nirale hain saqi teri mahfil ke

kahte hain bahaar aai kya khak bahaar aai
naqshe hain wahi ab bhi afsurdagi-e-dil ke

ab qurbat-e-sahil ka arman nahin baqi
wo lutf liye dil ne kuchh duri-e-sahil ke

jalwat mein jise aae khalwat ka maza 'sahir'
andaz use bhaen kya garmi-e-mahfil ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close