zamin tak hi nahin charcha tera ab aasman tak hai kabhi to soch dil mein jor ki shohrat kahan tak hai na jaane is qadar sahme hue hain kyon chaman wale rasai barq-e-sozan ki to mere aashiyan tak hai meri taqlid se rashk-e-qamar kahte hain sab tum ko tumhaare husn ka charcha mere husn-e-bayan tak hai idhar bechaargi mein dil bhi dushman ho gaya apna udhar jaur-o-jafa mein un ka sathi aasman tak hai tumhaara bar-e-ehsan bhi uthane ke liye nahin baqi tumhaare na-tawan ki na-tawani ab yahan tak hai junun ki kar-farmai ko ye hargiz na samjhegi rasai aql ki andesha-e-sud-o-ziyan tak hai sanbhal ja ai dil-e-nadan abhi tak kuchh nahin bigda abhi to raaz ulfat ka khamoshi ki zaban tak hai kabhi hai jaan khatre mein kabhi iman khatre mein buton ki mehrbani mujh pe 'sahir' ab yahan tak hai