arsa daraaz jis se mera dil laga raha

arsa daraaz jis se mera dil laga raha
wo bewafa sa shakhs tha wo bewafa raha

neki wo kaunsi thi ki jis ki jaza mili
taswir teri dekh ke main sochta raha

shayad badal gaya ho wo ab ki khabar nahin
jab tak hamare sath tha achchha bhala raha

muddat ke baad aaj wo phir yaad aai hai
mukhlis thi ya nahin thi magar dil laga raha

tujh se juda hue to adhure se hum rahe
khushiyan to har taraf thin magar dil dukha raha

yun to kisi pe raaz-e-mohabbat ayan nahin
par nind mein main nam tera bolta raha

waiz se yun khuda ne ki aaghaz guftugu
sunte hain tu jahan mein bada parsa raha

baithe rahe wo 'shan' raqibon ki bazm mein
wan par charagh aur yahan dil jala raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close