ek mehrban ki yaad satae to kya karen shab bhar khayal us ka jagae to kya karen hum hain shaban-e-hijr ke mare hamein koi qisse visal ke jo sunae to kya karen mana ki shai buri hai magar phir bhi jab koi le kar tumhaara nam pilae to kya karen barish ho mai-kada bhi ho mausam bhi sard ho aise mein teri yaad bhi aae to kya karen hum ko bhi hai gurez magar naz se hamein saqi nazar mila ke pilae to kya karen pas-e-adab ki baat bhi hoti hai shaikh ji mahfil mein yar jam thamae to kya karen chalte hain 'shan' hum bhi haram ko magar wahan zamzam bhi tishnagi na mitae to kya karen