arsa-e-KHwab se uTh halqa-e-tabir mein aa

arsa-e-khwab se uth halqa-e-tabir mein aa
gum-shuda roab-e-junun kasa-e-tashhir mein aa

intiha mabda-e-hasti ki fana hai ya baqa
ghaur se dekhte hain bakht ki taswir mein aa

ai kharabaat-e-tanaffur ke pareshan makin
gar sukun chahta hai ishq ki tamir mein aa

hiddat-e-did nigahon ki ibarat se nikal
aur yakh-basta mere rauzan-e-tahrir mein aa

chadh ke phir sar pe mere bole asiri ka khumar
qaid kar le mujhe phir zulf ki zanjir mein aa

ahd-e-mazi ke khush-aind bhatakte lamhe
waqt aa pahuncha hai ab haal ki jagir mein aa

jal-bujhe garmi-e-anfas se donon ka wajud
gholne khud ko mere qurb ki tasir mein aa

lazzat-e-wasl ko hasil ho zamin ki jannat
mujh se milne ke liye wadi-e-kashmir mein aa

zer-e-pa rakh ke sabhi aks-e-fusun-e-taqdir
phir jawan hone ko gahwara-e-tadbir mein aa

ai khizan-zad agar chahta hai rizq-e-bahaar
daman-e-zist liye rauza-e-shabbir mein aa

aajizi kahne lagi gar ho bulandi ki talab
dil jhuka daira-e-nara-e-takbir mein aa

diya ugte hue suraj ne ye paigham 'nadim'
in andheron se nikal khema-e-tanwir mein aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close