arsh tak jo be-khata jata hai ye wo tir hai ghair samjha hai ki meri aah be-tasir hai khugar-e-qaid-e-wafa par khul chuka zindan ka raaz jurm thi wo qaid ye us jurm ki tazir hai be-gunahi se bhi badh kar hai agar koi gunah to saza-e-ishq pa kar khajlat-e-taqsir hai chhod meri fikr ghafil ro khud apni qaid par jis ko tu zewar samajhta hai wahi zanjir hai sijn o jannat donon ai kafir hain is duniya ke nam wo azal se bakht-e-momin ye teri taqdir hai dar hi banti hai ai dil zina-e-meraj-e-ishq khwab-e-aghaz-e-mohabbat ki yahi tabir hai ho na uljhan jab junun-e-jama-war kaamil na ho jab talak daman hai khar-e-dasht daman-gir hai hath to honge qalam par nama-bar ye bhi kaha dil chura leti hai pahlu se ye wo tahrir hai paedari mein hai qasron se siwa kachchi si qabr jo qayamat tak rahe qaim ye wo tamir hai khun-e-nahaq ka kisi ke shubah aur tum par magar sina-e-'jauhar' mein dekho to ye kis ka tir hai