be-takalluf bosa-e-zulf-e-chalipa lijiye naqd-e-dil maujud hai phir kyun na sauda lijiye dil to pahle le chuke ab jaan ke khwahan hain aap is mein bhi mujh ko nahin inkar achchha lijiye panw pakad kar kahti hai zanjir-e-zindan mein raho wahshat-e-dil ka hai ima rah-e-sahra lijiye ghair ko to kar ke zid karte hain khane mein sharik mujh se kahte hain agar kuchh bhuk ho kha lijiye khush-numa chizen hain bazar-e-jahan mein be-shumar ek naqd-e-dil se ya-rab mol kya kya lijiye kushta aakhir aatish-e-furqat se hona hai mujhe aur chande surat-e-simab tadpa lijiye fasl-e-gul ke aate hi 'akbar' hue behosh aap kholiye aankhon ko sahab jam-e-sahba lijiye