arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun ishq se apne khabar-dar karun ya na karun gosh-e-dil se kabhi wo haal sune ya na sune wa main apne lab-e-guftar karun ya na karun bosa ek us se jo manga to laga kahne nahin hai shash-o-panj ki takrar karun ya na karun kahiye ai hazrat-e-dil kya hai salah-e-daulat yar se shikwa-e-didar karun ya na karun phul aage na mere tod zara ai gulchin kah tu sair-e-gul-o-gulzar karun ya na karun