hamein safar ki aziyyat se phir guzarna hai tumhaare shahr mein fikr o nazar pe pahra hai saza ke taur pe main doston se milta hun asar shikast-pasandi ka mujh pe gahra hai wo ek lakht khalaon mein ghurte rahna kisi tawil masafat ka pesh-khema hai ye aur baat ki tum bhi yahan ke shahri ho jo main ne tum ko sunaya tha mera qissa hai hum apne shanon pe phirte hain qatl-gah liye khud apne qatl ki sazish hamara wirsa hai