arz-e-alam ba-tarz-e-tamasha bhi chahiye duniya ko haal hi nahin huliya bhi chahiye ai dil kisi bhi tarah mujhe dastiyab kar jitna bhi chahiye use jaisa bhi chahiye dukh aisa chahiye ki musalsal rahe mujhe aur us ke sath sath anokha bhi chahiye ek zakhm mujh ko chahiye mere mizaj ka yani hara bhi chahiye gahra bhi chahiye ek aisa wasf chahiye jo sirf mujh mein ho aur us mein phir mujhe yad-e-tula bhi chahiye rabb-e-sukhan mujhe teri yaktai ki qasam ab koi sun ke bolne wala bhi chahiye kya hai jo ho gaya hun main thoda bahut kharab thoda bahut kharab to hona bhi chahiye hansne ko sirf hont hi kafi nahin rahe 'jawwad-shaikh' ab to kaleja bhi chahiye