bahut talkh hain zindagi ke fasane mere khwab hain phir bhi kitne suhane sahaara na deti agar mauj-e-tufan dubo hi diya tha hamein na-khuda ne sahar ko to aana hai aa kar rahegi kate kaise lekin ye shab kaun jaane giri aur girti rahi barq-e-sozan bane aur bante rahe aashiyane sitaron se aage bahut kuchh hai mana zamin par bhi jine ke hon kuchh bahane 'kalim' aaj kya soch kar ho gae chup are aa gae yaad kab ke zamane