arz-e-matlab ne kiya aur bhi kuchh KHwar mujhe

arz-e-matlab ne kiya aur bhi kuchh khwar mujhe
jab bhi milte hain suna dete hain do-chaar mujhe

shauq karta hai agar mail-e-raftar mujhe
rok leta hai mera tauq-e-giran-bar mujhe

chaaragar kaisi dawa chhed na bekar mujhe
chhod bhi de meri haalat pe mere yar mujhe

dekhti hai jo meri nargis-e-bimar mujhe
yaad rahta nahin apna koi aazar mujhe

husn-e-khwabida teri khwab-gah-e-naz mein aaj
le ke aaya hai mera tala-e-bedar mujhe

mohtasib ishq nahin aaina ye mujrim hai
tu kis ilzam mein karta hai giraftar mujhe

nam-e-haq le ke su-e-manzil-e-maqsad hun rawan
na to wahshat hai na khauf-e-rasan-o-dar mujhe

shab gai aai sahar shor-e-azan hai 'agha'
phir kiya nara-e-takbir ne bedar mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close